World Environment Day

 

World Environment Day 5th June 2012

3839116695?profile=original
 
Dekho iss banjar dharti ka kuchh to karna hoga.
nahi kiya gar jatan abhi kuchh sabko marna hoga.
ek samay tha jab dharti par jangal leharaate the.
kal-kal-kal nadiyaa behati thin, jharane ithlaate the.
sukhi nadiyaan, sukhe jharne inko bharna hoga.
kuchh to karna hoga.

Baagh, Tendua, Gainda, Bhaaloo sab hain shaan humari.
inhe maar kar kyon karte ho marne ki tyari.
jeev sabhi aabaad rahein aisa kuchh karna hoga.

Dekho iss banjar dharti ka kuchh to karna hoga.
nahi kiya gar jatan abhi kuchh sabko marna hoga.
ek samay tha jab dharti par jangal leharaate the.
kal-kal-kal nadiyaa behati thin, jharane ithlaate the.
sukhi nadiyaan, sukhe jharne inko bharna hoga.
kuchh to karna hoga.

Aasmaan mein udane waali chidiyon ki ab baari,
beej, beriyaan khaakar kartin ye sab madad humari.
jeev sabhi hain apane saathi in sang rehna hoga.

Dekho iss banjar dharti ka kuchh to karna hoga.
nahi kiya gar jatan abhi kuchh sabko marna hoga.
ek samay tha jab dharti par jangal leharaate the.
kal-kal-kal nadiyaa behati thin, jharane ithlaate the.
sukhi nadiyaan, sukhe jharne inko bharna hoga.
kuchh to karna hoga.

Khaad, Urea, Phosphat sab mitti jahar banaate.
Diesel se chalane waale sab waahan rog badhaate.
utho karo kuchh varna ye sab humko sehana hoga.

Dekho iss banjar dharti ka kuchh to karna hoga.
nahi kiya gar jatan abhi kuchh sabko marna hoga.
ek samay tha jab dharti par jangal leharaate the.
kal-kal-kal nadiyaa behati thin, jharane ithlaate the.
sukhi nadiyaan, sukhe jharne inko bharna hoga.
kuchh to karna hoga.

Kaan fodati aawazon ke khataron ko pehachaano.
jaan humari le saktin ye bilkul pakka maano.
shor bahut ghhatak hai, isase bachkar rehana hoga.

Dekho iss banjar dharti ka kuchh to karna hoga.
nahi kiya gar jatan abhi kuchh sabko marna hoga.
ek samay tha jab dharti par jangal leharaate the.
kal-kal-kal nadiyaa behati thin, jharane ithlaate the.
sukhi nadiyaan, sukhe jharne inko bharna hoga.
kuchh to karna hoga.

Nagaron ke logon ki dekho akal gayi hai maari.
paani bijali ki barbaadi marne ki taiyaari.
inhe bacha kar sabake jeevan mein sukh bharna hoga.

Dekho iss banjar dharti ka kuchh to karna hoga.
nahi kiya gar jatan abhi kuchh sabko marna hoga.
ek samay tha jab dharti par jangal leharaate the.
kal-kal-kal nadiyaa behati thin, jharane ithlaate the.
sukhi nadiyaan, sukhe jharne inko bharna hoga.
kuchh to karna hoga.

Abhi samay hai abhi sambhal sakte ho dharti waalon.
paryawaran bacha lo apana bigadi baat banaa lo.
bhool huyi gar ab humse to humko marna hoga.
kuchh to karna hoga.

Dekho iss banjar dharti ka kuchh to karna hoga.
nahi kiya gar jatan abhi kuchh sabko marna hoga. 
E-mail me when people leave their comments –

You need to be a member of Paryavaran.com- Indian Environment Network to add comments!

Join Paryavaran.com- Indian Environment Network